faisalaa tumako bhuul jaane kaa ik nayaa kaab hai diiwaane kaa dil kalii kaa laraz laraz uthaa zikr thaa phir bahaar aane kaa hausalaa kam kisii men hotaa hai jiit kar kud hii haar jaane kaa zindagii kat gaii manaate hue ab iraadaa hai ruuth jaane kaa aap shahazaad kii na fikr karen wo to aadii hai zakm khaane kaa