phailii huii hain sapanon kii baanhen aajaa chal den kahiin duur vahii merii manzil vahii terii raahen aajaa chal den kahiin duur phailii huii hain uudii ghataa ke saaye tale chhup jaaen dhundhalii fizaa men kuchh khoen kuchh paaen uudii ghataa ke uudii ghataa ke saanson kii lay par koii aisi dhun gaaen dede jo dil ko dil kii panaahen aajaa chal den kahiin duur jhuulaa dhanak kaa dhiiredhiire ham jhuulen ambar to kyaa hai taaron ke bhi lab chhuu len jhuulaa dhanak kaa jhuulaa dhanak kaa mastii men jhuulen aur sabhii gam bhuulen dekhen na piichhe mudake nigaahen aajaa chal den kahiin duur phailii huii hain