hato kaahe ko jhuutiii banaao batiyaan gair kaa saath hai aur roz mulaaqaaten hain pyaar hai us ke liye aur ham se faqat baaten hain jaao jaao jaao jhuuthii baat na banaao jal rahii virah men sainyaa aur na jalaao hato kaahe ko jhuutii threedots ye udii udii sii rangat ye khule khule se gesu terii subah kah rahii hai terii raat kaa fasaanaa dekho jii kisii kaa pyaar ham se na chhupaao sab hamen pataa hai pyaare nain na jhukaao suno kahatii hai kyaa kyaa tumharii akhiyaan hato kaahe ko jhuutii threedots