chitthii aaii hai aaii hai chitthii aaii hai 2 chitthii hai vatan se chitthii aayii hai bade dinon ke baad ham bevatanon ko yaad 2 vatan kii mittii aaii hai chitthii aaii hai threedots uupar meraa naam likhaa hain andar ye paigaam likhaa hain 2 o parades ko jaane vaale laut ke phir naa aane vaale saat samundar paar gayaa tuu hamako zindaa maar gayaa tuu khuun ke rishte tod gayaa tuu aankh men aansuu chhod gayaa tuu kam khaate hain kam sote hain bahut zyaadaa ham rote hain chitthii threedots suunii ho gain shahar kii galiyaan kaante ban gain baag kii kaliyaan 2 kahate hain saavan ke jhuule bhuul gayaa tuu ham nahiin bhuule tere bin jab aaii diivaalii diip nahiin dil jale hain khaali tere bin jab aaii holii pichakaarii se chhuutii golii piipal suunaa panaghat suunaa ghar shamashaan kaa banaa namuunaa 2 fasal katii aaii baisaakhii teraa aanaa rah gayaa baakii chitthii threedots pahale jab tuu kat likhataa thaa kaagaz men cheharaa dikhataa thaa 2 band huaa ye mel bhii ab to khatam huaa ye khel bhii ab to dolii men jab baithii bahanaa rastaa dekh rahe the nainaa 2 main to baap huun meraa kyaa hai terii maan kaa haal buraa hai terii biivii karatii hai sevaa suurat se lagatii hain bevaa tuune paisaa bahut kamaayaa is paise ne desh chhudaayaa panchhii pinjaraa tod ke aajaa desh paraayaa chhod ke aajaa aajaa umar bahut hai chhotii apane ghar men bhii hain rotii chitthii threedots