aansuu samajh ke kyon mujhe aankh se tuune giraa diyaa motii kisii ke pyaar kaa mittii men kyon milaa diyaa aansuu samajh ke kyon mujhe nagmaa huun kab magar mujhe apane pe koii naaz thaa 2 gaayaa gayaa huun jis pe main tuutaa huaa vo saaz thaa jis ne sunaa vo hans diyaa hans ke mujhe rulaa diyaa aansuu samajh ke kyon mujhe jo naa chaman men khil sakaa main vo gariib phuul huun jo kuchh bhii huun bahaar kii chhotii sii ek bhuul huun jis ne khilaa ke khud mujhe khud hii mujhe bhulaa diyaa aansuu samajh ke kyon mujhe merii kataa muaaf main bhuule se aa gayaa yahaan varanaa mujhe bhii hai khabar meraa nahiin hai ye jahaan duub chalaa thaa niind men achchhaa kiyaa jagaa diyaa aansuu samajh ke kyon mujhe