aaye aaye hain sapane men hamaare wo aaye aaye hain sapane men hamaare muhabbat ke dariyaa pe donon the aaye main thii is kinaare wo the us kinaare aaye aaye hain sapane men hamaare kahaan mainne aauun main kaise bataao pareshaan donon ishq ke bichaare aaye aaye hain sapane men hamaare isii bebasii men lahar ik aaii chalen donon milane usii ke sahaare aaye aaye hain sapane men hamaare usii ke gale mil ke main hans rahii thii khulii aankh dekhaa to chhitake the taare aaye aaye hain sapane men hamaare