saathii baabul kaa ye ghar gorii bas kuchh din kaa thikaanaa hai dulhan banake tujhe piyaa ghar jaanaa hai dulhan baapuu tere aangan kii main to khilatii kalii huun is aangan ko chhod kyon kisii aur kaa ghar sajaanaa hai pitaa betii baabul ke ghar men kisii aur kii amaanat hai dastuur ye duniyaa kaa ham sab ko nibhaanaa hai saathii dastuur ye duniyaa kaa ham sab ko nibhaanaa hai threedots dulhan maiyaa tere aanchal kii main to ek gudiyaa huun phir kyon is aanchal ko chhod teraa ghar bhii begaanaa hai bhaaii maan ke dil pe kyaa guzare bahanaa tuu ye mat puuchh kaleje ke tukade ko ro ro kar bhulanaa hai dulhan bhaiyaa tere baag kii main kaisii chidiyaa re raat bhar kaa baseraa hai subah ud jaanaa hai bhaaii bahanaa tere bachapan kii yaaden ham sab ko sataayengii phir bhii terii dolii ko kaandhaa to lagaanaa hai