bangaal kii main shaamosahar dekh rahaa huun harchand ke huun duur magar dekh rahaa huun iflaas kii maarii huii makaluuq sareraah begoroqafan kaak basar dekh rahaa huun insaan ke hote huye insaan ka ye hashr dekhaa nahiin jaataa hai magar dekh rahaa huun rahamat kaa chamakane ko hai phir nayyaretaabaan hone ko hai is shab kii sahar dekh rahaa huun