jab bhii koi kanganaa bole paayal chhanak jaaye soyii soyii dil kii dhadakan sulag sulag jaaye karuun jatan laakh magar man machal machal jaaye machal machal jaaye jab bhii koi kanganaa bole chhalak gaye rang jahaan par ulajh gaye nainaa re nainaa ulajh gaye nainaa paaye nahiin man banjaaraa kahiin bhii ye chainaa re chainaa kahiin bhii ye chainaa mere man kii pyaas adhuurii mujhe bhatakaaye jab bhii koi kanganaa bole kalii kalii jhuume re bhanvaraa agan pe jal jaaye patangaa agan pe jal jaaye chandaa ko chakor nihaare isii men sukh paaye re paaye isii men sukh paaye jiivan se ye ras kaa bandhan todaa nahiin jaaye jab bhii koi kanganaa bole