kaamosh hain sitaare aur raat ro rahii hai tere bagair duniyaa viiraan ho rahii hai tuutaa huaa hai ye dil ruuthii huii hai qismat o bewafaa bataa de kyuun tuu ne kii muhabbat aankhon kii badaliyon se barasaat ho rahii hai bhatakaa huaa musaafir tuutaa huaa sitaaraa kashtii merii bhanwar men aur duur hai kinaaraa jaage hain chaand taare taqadiir so rahii hai