main ne puuchhaa chaand se ki dekhaa hai kahiin mere yaar saa hasiin chaand ne kahaa chaandanii kii qasam nahiin nahiin nahiin main ne puuchha chaand se threedots khuubsuuratii jo tuune paaii lut gaii kudaa kii bas kudaaii miir kii gazal kahuun tujhe main yaa kahuun kayaam kii rubaaii main jo puuchhuun shaayaron se aisaa dilanashiin koii sher hai kahiin shaayar kahe shaayarii kii qasam nahiin nahiin nahiin main ne puuchhaa chaand se threedots main ne ye hijaab teraa dhuundhaa har jagah shabaab teraa dhuundhaa kaliyon se misaal terii puuchhii phuulon men javaab teraa dhuundhaa main ne puuchhaa baag se falaq ho yaa zamiin aisaa phuul hai kahiin baag ne kahaa har kalii kii qasam nahiin nahiin nahiin main ne puuchhaa chaand se threedots ho chaal hai ki mauj kii ravaanii zulf hai ki raat kii kahaanii honth hain ki aaine kanval ke aankh hai ki mayqadon kii raanii main ne puuchhaa jaam se falaq ho yaa zamiin aisii may bhii hai kahiin jaam ne kahaa maykashii kii qasam nahiin nahiin nahiin main ne puuchhaa chaand se threedots