paradesii kyuun yaad aataa hai paradesii kyuun yaad aataa hai ik chaand chhamak kar jangal men chhupchhup kar uudhe badal men jab sapanaa saa dikhalaataa hai paradesii kyuun yaad aataa hai paradesii puurab se pawan jab aatii hai jab koyal kuuk sunaatii hai jab baadal ghir ke aataa hai paradesii kyuun yaad aataa hai paradesii hiradhe kii ghanerii chhaaon kaa armaanon kaa aashaaon kaa jab ghuunghat pat khul jaataa hai paradesii kyuun yaad aataa hai paradesii jab biite din yaad aate hain badal kii tarah mandalaate hain jab ghaayal dil ghabaraataa hai paradesii kyuun yaad aataa hai paradesii