su shaam rangiin huii hai tere aanchal kii tarah surmaii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah u paas ho tum mere dil ke mere aanchal kii tarah merii aankhon men base ho mere kaajal kii tarah u merii hastii pe kabhii yuun koii chhaayaa hii na thaa su tere nazdiik main pahale kabhii aayaa hii na thaa u main huun dharatii kii tarah tum kisii baadal kii tarah su surmaii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah u aasmaan hai mere armaanon ke darpan jaise su dil yuun dhadake ki lage baj uthe kangan jaise u mast hain aaj havaaen kisii paayal ki tarah su surmaii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah u aisii rangiin mulaaqaat kaa matalab kyaa hai su in chhalakate hue jazbaat kaa matalab kyaa hai u aaj har dard bhulaa do kisii paagal kii tarah surmaii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah