tumhen aur kyaa duun main dil ke sivaay tum ko hamaarii umar lag jaaye tum ko hamaarii umar lag jaaye 2 muraaden hon puurii saje har tamannaa muhabbat kii duniyaa ke tum chaand bannaa bahaaron kii manzil pe hansanaa hasaanaa kushii men hamaarii bhii aawaaz sunnaa kabhii zindagii men koii gam na aaye tum ko hamaarii umar lag jaaye mujhe jo kushii hai tumhen kyaa bataauun bhalaa dil kii dhadakan ko kaise chhupaauun kahiin ho na jaauun kushii se main paagal tumhen dekh kar aur bhii muskuraauun kudaa diljalon kii nazar se bachaaye tum ko hamaarii umar lag jaaye sitaaron se uunchaa ho rutabaa tumhaaraa bano tum har ik zindagii kaa sahaaraa tumhen jis se ulfat ho mil jaaye tum ko samajh lo hamaarii duaa kaa ishaaraa muqaddar tumhaaraa sadaa jagmagaaye tum ko hamaarii umar lag jaaye